Online game kaise khele

Aapne dekha hoga ki bahut se log roj naye naye games khelte rahte hai lekin vo games unke mobile me nahi hoti vo unhe internet se online hi khelte haia jisase unhe apne mobile me game download hi nahi karna padta agar aapko bhi online game khelna hai to aap is lekh ko pura pade.

Online game ka kya hai?

Online game khelne ke do tarike hai. Ek to online game use bolte hai jaise aap apne mobile me koi game download karte hai aur use internet on karke hi chalaana padta hai.

Dusara online game khelna use kahte hai ki jab aap internet per kisi website ki madad game ko bina download kiye online khel sakte hai.

Website ki madad se online game kaise khele

Online game khelne ka tarika bahut hi aasan hai bus aapke pas ek mobile aur internet connection hona chahiye beshak aapka mobile aur internet thoda dheema hi kyon n ho phir bhi aap online games khel sakte hai.

  1. Sabse pahle aapko apne mobile me kisi browser ko open karna hai chaliye chrome open ker lete hai .
  2. Phir aapko bgames.com website ko open karna hai.
  3. Ab aapke samne bahut si games aa jayegi jaisa ki screen shot me dikhaya gaya hai.
  4. Aapko isme games ki bahut si alag-alag categories mil jayegi aap kisi ko bhi choose kar sakte ho.
  5. Kisi ek game per click kare
  6. Agla page khulne ke bad play per click kare.
  7. Uske bad 5 second tak ki advertisement aayegi use aap skip kar sakte hai
  8. Ab game start hone ke liye ready hai

Aap aasani se apne mobile me free me games ko khel sakte hai aur isme aap ek nahin hazaron games online khel sakte ho

Computer me online games kaise khele?

Ab bat aati hai ki agar hame online games computer me khelni ho to kaise khele to iska bhi same hi process hai computer ke online games khelne ke liye aapko alag se kuchh bhi karne ki jarurat nahin hai chaliye phir bhi screenshot ki madad se ek bar jan lete hai.

 

  1. Aapko apne computer ya laptop me koi browser open karna hai
  2. Aap Arkadium.com website ko open kare ye computer ke liye best hai.
  3. Aapko isme bhi bahut se category ke games mil jayenge jaise popular, card, strategy, sports, word, Puzzles etc. aap kisi bhi category ke games khel sakte hai
  4. Ab kisi ek game per click kare aur next page open ho jayega
  5. Ab aapko add to deshtop ka option milega jisase aap us game ko apne pc/laptop ke desktop per save kar sakte hai jisase aapko bar-bar website open nahin karni padegi.
  6. Game khelne ke liye play button per click kare
  7. Ab 5-7 second me game start ho jayegi jise aap free me khel sakte hai.

Google per online game kaise khelte hai.

Google ek aisi game provide karta hai jise aap bus google per search karke khel sakte hai ise aap google ki cool trick bhi kah sakte ho. Pahle ye game google per search bar me search karte hi chal jati thi lekin ab aapko ek website ko open karna hota hai google per game khelne ke liye aapko Atari breakout search karna hoga. Aur elgoog.im website vale result per click kar dena hai page open hote hi game start ho jayegi ye game bahut hi interesting hai ise aap ek bar try ker sakte ho.

Online game khelne ke kya fayde hai?

Online aur offline game khelne ke apne apne fayde hai. Agar aapka mobile kam features vala hai to aap aasani se internet ki madad se online games khel sakte hai.

Aapke mobile me kisi bhi prakar ka dabav nahi padta, ya mobile hang hone se bachega. Aapko apne mobile me game install karne ki jarurat nahi hai jisase mobile ki storage nahin bharegi online aapko ek nahi hazaron games khelne ko mil jayegi.

Online game khelne ki best website

Internet per ek nahi bahut si websites hai jinki madad se aap online game khel sakte hai. Ek jani mani sites hai cartoonnetworkhq.com.

TV per aane vale is channel ko to sabhi jante hi honge iski ye ek website bhi hai jahan ye online games provide karte hai inki is website per bharpur matra me games padi hui hai aur vo bhi alag-alag category me to aap is eek baar visit kar sakte hai.

agame.com ye bhi online games khelne ke liye best website hai jahan se aap free me game khel sakte ho isme aap multiplayer games matlab 2 player games bhi khel sakte ho is website per her month lagbhag 40 se 50 lakh log online game khelne ke liye aate hai.

Is site per aapko her category ki game dekhne ko mil jayegi jaise. :- new, racing, shooting, puzzle, multiplayer, action, adventure aur iske alava aur bhi . cbc.ca agar aap ek achche interface aur user friendly website ki talash me ho to ye aapke liye best hai isme bhi aapko bahut sari online games dekhne ko mil jati hai jo update hoti rahti hai is website ko her mahine 6 carore se bhi jyada log visit karte hai.

Online game khelne vala app kaun sa hai

Agar aap online game ko website ki madad se nahin khelna chahte to preshan hone ki koi jarurat nahi hai. Hum aapko ek aise android app ke bare me batayenge jahan aapko dher sari games ek hi app me mil jayegi vaise to aapko online games ke bahut se app mil jayenge lekin ek app hai jo behtarin hai. Jiska Poko hai ye app aapko play store per aasani se mil jayega jise aap download karke install ker le aur online games khelne ka maja le.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Translate »